Saturday, May 8, 2010

mothers day special...






For all the ladies who are mother, mother from their heart. A mother feeds her baby as a gardener feed his garden daily to make his garden the most beautiful and healthy.
9th May 2010....
"Maa"......This small word has a very vast meaning.
I know i cannot define it in two or three sentences only...but there are some thoughts which pops out, and wanna write about a "Maa"

 Maa... you are the one who born me.
Maa... you are the one who define me..
then how can i define you???
but you are the one who teaches me..
you are the one who cares about me..
Maa... you are the one who loves me..
Maa.. you are the one who understands me..
Maa.. you are the one who fights for me..
Maa..you are the one who watches me..
Maa..you are the one who is happy for me..
Maa..you are the one who brings me...
Maa..you are the one who draw me...
Maa.. you are the one who accept me..
i know..you are the one who only made for me..

Love you "Maa.."

ek kahani..........
kab yeh chota sa paudha ped ban gaya...pata hi nahi chala lekin uski parvarish ne aisa pyar aur dulaar diya ki yeh ped chaya bhi de sakta hai..vo apne paudhe k liye jaan bhi de sakti hai..
kahani hai yeh paudhe aur ped ki jismei samaya tha ek rishta...
rishta pyar ka....rishta dulaar ka..rishta ek maa aur ek bacche ka...
ek maali roz apne bagiche ko seechti thi...bade hi pyar aur dulaar k saath...roz use accha khilati aur pilati aur roz nayi dhoop ki kiran bhi use deti...us bagiche mei bahut se paudhe the...un mei se ek paudhe ka naam tha "shano" use bahut lagav aur pyar tha apni maali se aur uske bina vo jee nahi sakta tha..aur maali bhi use behadd pyar karti thi. vo dono hi ek dusre k bina adhure the....achanak ek din bagiche mei aag lag gayi aur shano ko bahut chot aayi..shanoo ne maali ko bahut daanta ki usne uska thik se khayal nahi rakha isliye vo jhakhmi ho gaya....lekin maali toh bahut hi udaas tha aur usne shano ko bahut pyar aur dulaar se seencha aur use hasht pusht banaya...lekin shano ko apni galti ka ehsaas nahi tha...ek din maali bagiche ko chodakr hamesha k liye chala gaya...bhagwaan ne use apne pass bula liya..shano ko jab pata laga toh uske hosh ud gaye aur use laga ki uski duniyaa lut gayi hai..ab kaun use pyar karega...?? aur kaun use ab khane ko dega...vo saari raat rota raha aur use ehsaas huya ki usne maali pe galat ilzaam lagaya tha...lekin ab vo wapas nahi aa sakti thi...vo dheere dheere kamjor hota jaa rha tha..aur ek din vo marr gaya.........
hain jitne tinke sharir mei mere,
pyar hai utna tumhare liye dil mei mere...

banaya tumne ek paudhe ko ped,
karke hazar jatano ko ek...

seench rahi ho apne is paudhe ko roz,
dekar apne pyar aur dulaar k beejo se roz..

maine ki gustaakhi kal jo,
na kabhi hogi fir se vo....


      kabhi na karna apne is kokh ke beej ko door,
     kyuki hoga tumhara bagicha mujhse hi bharpoor..







3 comments:

richa said...

awesome.. ur mumma wil be proud f u...

Ashish Gourav said...

I read it...understood it...yay!

Unknown said...

@richa:tanku yar..:)
@ashish: thank god samjh aa gaya..:P