Saturday, December 11, 2010

mai, aap aur humare khwaab, sapne aur saansein...

   Ankhon k khwaabo se lipti yeh saansein,
  keheti hain agar na ho sake sapne pure..,,,
to reh jayenge in aankhon k har khwaab adhure...

Aankhon k aasoon se lipti yeh saansein
keheti hain agar na jhilmilaye khawwbo k sitare...
to bikharkar jayenge hamare har khwaabo k nazarein...

Ankhe jab khulti hain to ek naye khwaab k saath, band hoti hain toh ek naye khwaab k saath..kyun?
abhilashayen na ho agar,toh yeh khwaab bhi na ho...
aur agar yeh khwaab na toh aankhe adhuri si lagti hain...

isliye un aankho ke khwaab toh 'mai' hoon.
unki har ek nazaron ka daaman 'mai' hoon.
aapki har ek saans se judi 'mai' hoon.
            aur yeh aankhe aap ho
                      'papa'